successmart
 Search  
Tuesday, January 06, 2009 ..:: Home » Movies » Dil Chahta Hai » Woh Ladki Hai Kahan ::.. Register  Login
 Video: Woh Ladki Hai Kahan

Dil Chahta Hai
 
Year: 2001
Label: T - SERIES
Genre: Comedy,Drama
Director: Farhan Akhtar
Music Director: Ehsaan, Loy, Shankar
Leading Cast: Akshaye Khanna, Sonali Kulkarni, Aamir Khan, Saif Ali Khan, Preity Zinta
 

    

    

 Lyrics:Woh Ladki Hai Kahan

.Jisse dhoondta hoon main har kahin
Jo kabhi mili mujhe hai nahin
Mujhe jiske pyaar par ho yakeen
Woh ladki hai kahan
Jisse sirf mujhse hi pyaar ho
Jo yeh kehne ko bhi taiyyaar ho
Suno tum hi mere dildaar ho
Woh ladki hai kahan

--FEMALE--
Jo tumhaare khwaabon mein hain basi
Woh haseen murti pyaar ki
Milegi tumhe kabhi na kabhi
Zara dekho yahan wahan
Chalo dhoondte hain hum tum kahin
Woh pari woh hoor woh naazneen
Jisse dekho to kaho tum vahi
Arre yeh to hain yahan

--MALE--
Jaane kyoon khayaal aaya mujhe
Ke woh ladki kahin tum to nahin
Tum mein hain woh saari khubiyaan
Tha jinko dhoondta main har kahin

--FEMALE--
Tumhe dhoka lagta hai ho gaya
Mujhe hain samajh liya jaane kya
Na main hoon pari, na main apsara
Karo tum na yeh ghumaan

--MALE--
Jisse dhoondta hoon main har kahin
Jo kabhi mili mujhe hai nahin
Mujhe jiske pyaar par ho yakeen
Woh ladki hai kahan

Maan lo agar main yeh kahoon
Ke mere khwaabon mein tum hi to ho
Jaan lo, mera armaan hai
Ke mere saath hi ab tum raho

--FEMALE--
Mujhe tumne kya yeh samjha diya
Mera dil ko jaise dhadka diya
Mere tan badan ko pighla diya
Woh sunaaye daastaan

--MALE--
Jisse dhoondta hoon main har kahin
Jo kabhi mili mujhe hai nahin
Mujhe jiske pyaar par ho yakeen

--FEMALE--
Woh ladki hai kahan

--MALE--
Woh ladki hai yahan

--FEMALE--
Woh ladki hai kahan

--MALE--
Woh ladki hai yahan

--FEMALE--
Woh ladki hai kahan

--MALE--
Woh ladki hai yahan

--FEMALE--
Woh
ladki hai kahan

--MALE--
Woh ladki hai yahan


    

Copyright © 2006 BollywoodTube.com   Terms Of Use  Privacy Statement