successmart
 Search  
Monday, October 13, 2008 ..:: Home » Movies » Hum Kisi Se Kum Nahin » Kya Hua Tera Wada ::.. Register  Login

 Video: Kya Hua Tera Wada

Hum Kisi Se Kum Nahin

 Year 1977
 Genre: Suspense, Action, Drama
 Music Director: RD. Burman  
 Leading Cast:  Rishi Kapoor, Tariq,Dharmender, Kajal Kiran, Zeenat Aman

 

        

    

 Lyrics: Kya Hua Tera Wada

--MALE--
(Kya hua tera waada
Woh kasam, woh iraada) - 2
Bhoolega dil jis din tumhe
Woh din zindagi ka aakhri din hoga
Kya hua tera waada
Woh kasam, woh iraada

--FEMALE--
Bhoolega dil jis din tumhe
Woh din zindagi ka aakhri din hoga
Kya hua tera waada

--MALE--
Yaad hai mujhko, tune kaha tha
Tumse nahin roothenge kabhi
Dil ki tarah se haath mile hain
Kaise bhala chhootenge kabhi
Teri baahon mein beeti har shyaam
Bewafa yeh bhi kya yaad nahin
Kya hua tera waada
Woh kasam, woh iraada
Bhoolega dil jis din tumhe
Woh din zindagi ka aakhri din hoga
Kya hua tera waada
Woh kasam, woh iraada
Oh kehne waale mujhko farebi
Kaun farebi hai yeh bata
Woh jisne gham liya pyaar ki khaatir
Ya jisne pyaar ko bech diya
Nasha daulat ka aisa bhi kya
Ke tujhe kuch bhi yaad nahin
Kya hua tera waada
Woh kasam, woh iraada
Bhoolega dil jis din tumhe
Woh din zindagi ka aakhri din hoga
Kya hua tera waada
Woh kasam woh irada


    

Copyright © 2006 BollywoodTube.com   Terms Of Use  Privacy Statement